Muhje talash hai ….
Un bahaaro ki jinhe kabhi pat-jhad ne cheena tha.
Muhje talash hai,
Un boondo ki jinse kabhi mera dil bheega tha.
Mujhe talash hai,
Un raaton ki jinme kabhi mera dil machalta tha.
Mujhe talash hai,
Zindagi ki…..
Mujhe talash hai,
Un galiyon ki jinme kabhi bachpan basta tha.
Mujhe talash hai,
Un jhoolon ki jinme kabhi pyar palta tha.
Mujhe talash hai,
Un jharokho ki jinse kabhi daman aakash batorta tha.
Mujhe talash hai,
Zindagi ki…..
Mujhe talash hai,
Un kahaniyon ki jinme kabhi pariyaa basti thi.
Mujhe talash hai,
Un loriyon ki jinme kabhi mamta jhalakhti thi.
Mujhe talash hai,
Un dosto ki jinke saath asmaa me uda karte the.
Mujhe talash hai,
Zindagi ki…..
Mujhe talash hai,
Un lamhon ki jo kabhi mere apne thay
Muhje talash hai,
Un motiyaon ki jo kabhi aansu banke nikalte thay.
Mujhe talash hai,
Un saayon ki jo kabhi andhere main bhi saath chalet thay.
Mujhe talash hai,
Zindagi ki…..